MERA KHAWAND MUJHY LA'AN TA'AN AUR SAB-O-VISHTEM KERTA HAI

MERA KHAWAND MUJHY LA'AN TA'AN AUR SAB-O-VISHTEM KERTA HAI

Question :
Jab khawand k sath muderja zail asbab ki bina per zindagi baser kerna mahal hujaye to mutalba talaq k bary mai sharai hukam kia hai? mera khawand jahil hai aur mery haqoq sy agaah nahi, woh mujhy aur mery waldain ko la'an ta'an kerta hai, woh mujhy yahodi, esai aur rafzi tak keh jata hai lekin mai bachu ki khatir is k mazmom ikhlaq per sabar kerti rehti rahi magar jab sy mujhy jorou k dard ki shikayat huwi hai to mai be bas hugae hoon aur mery hath sy sabar ka daman chot gaya hai. mujhy is sy itni shaded nafrat hugae hai k is sy baat kerna bhi gawara nahi raha. mai ny is halaat mai talaq ka mutalba kia to is ny rad ker dia. mai guzshta 6 saal sy apny bachu k sath is k ghar mai aik mutalka ya ajnabi ki tarhan guzar basar ker rahi hoon. woh mera itlaq ka mutalba rad kerta aa raha hai. barah-e-karam jawab ba suwab sy nawazain.
Answer :
Agar khawand ka raviya aisa hi hai k jaisa app ny bataya hai to aisy halaat mai is sy talaq talab kerny mai koi harj nahi. is tarhan is sy jaan chorany k liye kuch maal dey ker bhi khula'a kerny mai koi harj nahi ta k ap iski bad kalamiyo, ziadatiyo aur sou muashret sy gulo khulasi palen. agar ap apny bachu ki khatir aur apny aur in k akhrajat ki khatir issy bardasht ker saken aur sath hi sath achy andaz sy issy samjhati rahen aur is k liye hadayat ki dua kerti rahen to hum app k liye ajr-o-sawab aur achy anjam ki umeed kerty hain. hum bhi iski hadayat aur esteqamat k liye Allah RAb-ul-Ezzat sy dua kerty hain. yh sab kuch is sorat mai hai k agar woh namaz parhta hu ayr ehanat deen ka murtakib na hota hu aur agar woh tarik namaz hai ya deen ki ehanat ka murtakib hota hai to woh kafir hai aur app ka is sath rehna ya issy apny uper qudrat-o-ikhteyar daina jaiz nahi hai Qk oulama ka ejma'a hai k deen islam ko galiyan daina aur iska estahza kerna kufar, gumrahi aur irtadada'an alislam hai, Allah TA'ala ka irshad hai:

"App farma dijeye! acha tum estahza ker rahy thay, Allah, iski ayato aur is k Rasool k sath? ab bahany na banao tum izhar emaan k baad kafir hu chuky hu."
At'touba 9:65,66.
Issi tarhan Ahl-e-ilm k sahi qual ki ro sy tark namaz kufar akber hai, agarcha aisa shakhs namaz k wajoob ka inkar na bhi kery Qk RAsool Allah (S.A.W) ny farmaya:

"Admi aur shirk-o-kufar k dermiyan milany wali cheez namaz ka chorna hai."
sahi muslim'hadis: (134)-82' wa jamia at'tramzi' hadis: 2619.
aur dosri hadis mai hai k Allah k Nabi (S.A.W) ny farmaya:

"hamary aur in (munafiqeen) k mabain namaz hi to muahidah hai, jis ny namaz ko chora us ny yaqinan kufar kia."
jamai at'tramzi' hadis: 2621' wa sanan ebn majah' hadis: 1079' wa masnad ahmed:5/346.
Elawah azee kitab-o-sunnat k bohat sary dalaeel is mozo per majood hain.
Shaikh ibn Baz

MERA KHAWAND MERY SATH HUSSAN salook

MERA KHAWAND MERY SATH HUSSAN MUASHRAT SY KAAM NAHI LAITA

Question :
Mai arsa 25 saal sy shadi shuda hoon, mery kai bachay hain, jab k mujhy khawand ki tarf sy kai mushkilat ka samna hai. woh aksar mery bachu, azez-oaqarib aur aam logo k samny bila wajah meri be ezzati kerta hai aur issy meri qadar afzai ki kabhi toufeeq nahi howi. jab tak woh ghar sy bahir na chala jaye mujhy sukh ka sans naseeb nahi hota. yh bhi maloom hu k woh namaz parhta hai aur Allah Ta'la sy darta bhi hai. mujhhy umeed hai k ap salamti k rasty ki tarf meri rehnumai famrain gey. Jazzak-u-mul-laah khairan.
Answer :
Meri bahen sabar sy kaam ley, issy achy andaz sy samjhaye, Allah Ta'ala aur rozay qayamat ki yaad dilayen, shayed is tarhan woh haq ki tarf rajou kery aur bury ikhlaq chor dey. agar woh phir bhi apni zid per qaeem rehta hai to khud mujrim aur gunaahgar hoga jab k app sabar-o-isteqamat k badley ajar-e-azeem ki mustahiq therain gi. App namaz k doran mai aur aam halaat mai dua kerti raha karen k Allah TA'ala issy sirat mustaqeem dikhaye, ikhlaq fazla sy nawazey aur apko is k aur dosro k shar sy mehfoz rakhy. ap apna muhasba kerti rahen aur deen mai isteqamat ka muzahira karen, agar Allah Ta'ala ya khawand ya kisi aur k haq mai koi kotahi howi hai to khaliq-e-kainat k hazoor touba karen.
Ain mumkin hai k kisi gunaah ki wajah sy issy app per musallat ker dia gaya hu, is liye k irshad bari Ta'ala hai:

"Aur jo mosibat tumhain pohanchti hai woh tumhary hi hatho ki kamai sy hoti hai aur woh bohat sy gunaah muaaf ker daita hai."
As'shoura 42:30.
is mai koi muzaiqa nahi k app is k maa baap, bary bhaiyo ya aisy rishty daro aur hamsayu sy is k muta'aliq baat karen k jin ki is k haan koi qadar hota k woh issy samjhayen aur hussan muashrat ki talqeen karen. jaisa k irshad rabbani hai:

"aur in (biviyon) k sath hussan salook sy raho sahu."
Al nissa 4:19.
Naiz farmaya:

"aur orton ka haq (mardo per) wesa hi hai jaisa datour k mutabiq (mardo ka haq) orton per hai, albatta mardo ko orton per (aik goona) fazilat hasil hai."
Al bakra 2:228.
Allah TA'ala app donu k haal ki islaah farmai, app k khawand ko hadayat ata farmai aur issy rash-o-suwab ki tarf lotaye aur app donu ki khair-o-hadayat per ikatha rakhy. (shiekh ebn baaz)

MERA KHAWAND BILKUL MERI PARWAH NAHI KERTA

MERA KHAWAND BILKUL MERI PARWAH NAHI KERTA

Question :
Mera khawand.............. Allah Ta'ala issy der guzar farmaye...........agarcha khashiyet Elahi ka hamil aur ikhlaq fazla sy mutasif hai magar meri bilkul koi perwah nahi kerta, hamesha tarsh roi aur sangdilii ka muzahira kerta hai, phir woh iska zimedar bhi mujhi ko thehrata hai lekin Allah janta hai k bahamdulliah mai is k jumla haqoq ki adaigi kerti hoon. hemasha iski rahat-o-etmenan ka saman fraham kerti houn aur is ko nagwar kerny waly her amal sy perhaiz kerti hoon, is k bawajood mai, jo salook woh mujh sy rawa rakhta hai, sabar kerty huway sab kuch bardasht kerti hoon. mai jab bhi kisi cheez k muta'aliq deryaft kerti hoon ya kisi masley k bary mai baat kerti hoon to gazab naak hu ker bharak uthta hai. is k ber aks apny sathiyo aur dosto ki sath khandah roi aur hashash bashash tabiyat k sath rehta hai, mai ny hemasha hi is ki tarf sy bad mamlagi aur dant dapt ka samna kerna kia hai. iska yh raviya kabhi kabhi to itna takleef dah aur almanak hota hai k mai yh sochny lagti hoon k Q na is ghar baar ko kher baad kerh dia jaye. Al Humdulillah! meri ta'aleem middle tak hai aur Allah Ta'ala k aeed kerdah faraiz ki adaigi mai koshaa rehti hoon. Fazilaat-us-shiekh! agar mai yh ghar chor doon. tan tanha apny bachu ki ta'aleem-o-terbiyat ka intezam karon aur zindagi k dukh sukh bardasht karon to kia mai gunaahgar houngi? ya issi halat mai is k pass rahon aur sab kuch nazar andaz kerty huway zindagi k baki ayaam pury karon?
Answer :
Es mai koi shak nahi k miaan bivi donu per hussan muashrat, ikhlaq fazla aur khanda roi ka tabadla wajib hai. Irshad Bari TA'ala hai:

"Aur in (biviyon) k sath hussan muashrat apnao."
Al nissa 4:19.
Dosri jagah farmaya:

"Aur orton ka haq (mardo per) wesa hi hai jaisa dastor k mutabiq (mardo ka haq) orton per hai, albatta mardo ko orton per (aik goona) fazilat hasil hai."
Al Bakra 2:228.
Issi tarhan NAbi (S.A.W) ka irshad hai:

"Naiki hussan khulq ka naam hai."
sahi muslim' hadis: 2553.
App (S.A.W) hi ka irshad hai:

"kisi bhi naiki ko haqeer na samjhu agarcha tum apny bhai ko khandah roi hi sy Q na milo."
sahi muslim' hadis: 2626
Mazeed farmaya:

"Emaan walo mai sy kamil tareen momin woh hai jo ikhlaq mai sab sy acha hu aur tum mai sy achay woh hain jo apni biviyon k liye achay hain."
jamia at'trmazi' hadis:1162' wa sanan abi daud' hadis: 4682' wa masnad ahmed: 2/473.
Naiz App (S.A.W) ny irshad farmaya:

"Tum mai sy behtreen woh shakhs hai jo apny ghar walon k liye behtreen hai aur mai apny gahr walon k liye tum sab sy behtreeb hoon."
Sunan abi majah' hadis:1977' wa jamia at'tramzi' hadis: 3895.
Elawah azee kai aik ahadis nabviya hain jo musalmano ko amomi tour per hussan-e-khalq, achi mulaqat aur hussan muashrat ki tergeeb dila rahi hain to mian bivi ayr azez-o-aqarib ko kis qadar ziada in amoor ka khayal rakhna hoga. app ny khawand k jo rostam aur aiza rasani k bawajod jameel ka muzahira kia jo qabil ta'areef hai. mai apko Allah TA'ala k derj zail farman k mutabiq mazeed sabar ka daman tham ker rakhny aur ghar na chorny ki nasihet kerta hoon Qk is mai bohat ziadah bhalai aur qabil sataish anjam hai. In Sha Allah.
Jaisa k Allah Ta'ala ny farmaya:

"Aur sabar karo beshak Allah sabar kerny walo k sath hai."
Al Enfaal 8:46.
Dosry mukam per youn farmaya:

"yaqinan jo shakhs Allah sy dar jaye aur sabar kery to beshak Allah Ta'ala naiki kerny walon k ajaz ko zaya nahi kerta."
Yousaf 12:90.
Mazeed farmaya:

"Yaqinan sabar kerny walon ko inka ajar bagair hisaab dia jayega."
Az'zamar 39:10.
Aik aur jagah youn farmaya:

"Pus sabar kijeye tehqeeq behtreen anjam perhaizgaro k liye hai."
houd 11:49.
khawand k sath dil lagi kerny aur aisy achay ilfaz k sath k jin sy iska dil naram hu jaye, mukhatib huny mai koi harj nahi shayed wohi ilfaz ap k bary mai iski khush roi ka sabab ban jayen aur is mai ap k haqoq ada kerny ka shaour bedar hujaye. jab tak woh tamam zarori aur aihem mamlat ki adaigi per qaeem hai app apni deenvi zaroriyat ka mutalba tark ker den hatta k iska seena khul jaye aur tumhary bary bary mutalibat k liye is k dil mai wusat paida hujaye. In Sha Allah, ap ka anjam qabil sataish hoga.
Allah TA'ala apko mazeed sabar-o-isteqamat sy nawazey aur ap k khawand ki islaah farmai, issy rashd-okher-o-diyat kery aur hussan khulq aur khandah paishani k sath bivi k haqoq ki adaigi ki toufeeq bakhshy k wohi sidha rasta dikhany wala hai. (shiekh ebn baaz)

DHULAN KA BAKRI K KHON MAI QADAM RAKHNA

DHULAN KA BAKRI K KHON MAI QADAM RAKHNA

Question :
Hamary haan yh riwaj hai k shadi ki raat larki k ghar waly is k paon, zeebah ki huwi bakri k khoon mai rakhty hain, is k bary mai shariyat ka kia hukam hai?
Answer :
Is riwaj k liye koi sharai bunyad nahi hai balky yh aik bohat buri adat hai Qk:
Awwalan: yh aik fasid aqeedah hai jis ki koi sharai bunyad nahi hai.
SAniyan: haram khoon k sath larki k paonko alodah kerna bewaqofi hai Qk najasat k bary mai to humain hukam yh hai k issy zail kia jaye aur is sy doori ikhteyar ki jaye.
Es moqa per mai musalman bhaiyon ki khidmat mai yh guzarish bhi karonga k hukam shariyat yh hai k jab najasat lag jaye to issy foran zail ker k taharat hasil ki jaye Qk Nabi Akrem (S.A.W) ki yahi sunnat hai, chanachey jab aik jab aik a'arabi ny masjid mai paishab ker dia tha to Nabi (S.A.W) ny hukam dia tha k is k paishab per pani ka aik doul baha dia jaye.
sahi albukhari'hadis:220.
Issi tarhan jab aik nanhey bachey ny Nabi Akrem (S.A.W) ki guad mai paishab ker dia tha to App (S.A.W) ny pani mangwaya aur es sy paishab ko dhou dia.
sahi albukhari' hadis: 222. yh rasam waqatan jahalat aur be waqofi hai. aur qatan jaiz nahi. ta hum bakri ka khoon haram huny k bawajood najis nahi Qk najasat ki koi daleel nahi.
NAjasat ko takheer sy zail kerny mai husakta hai k insan bhool jaye aur woh issy najasat mai namaz parh ley, agarcha rajeh qaul k mutabiq bhool jany ki waja sy woh ma'azor hoga aur iski namaz sahi hogi. lekin yh bhi husakta hai k issy doran-e-namaz hi yaad aajayem phir agar namaz jari rakhty huway azala najasat mumkin hu to issy foran zail kery aur agar aisa mumkin na hu to issy namaz tour ker aur najasat ko dour ker k az sar-e-nou namaz parhna hogi.
Baher haal yh aik bohat buri adat hai jis k bary mai sawal pocha gaya hai k is mai orat ko najasat sy aalodah kerna bhi hai jo k bewaqofi hai Qk shariyat ny to najasat k azala aur tatheer ka hukam dia hai, phir mujhy yh bhi khadsha hai k is adat k peechy kahiin yh aqqedah na hu k woh janwar ko jin ya shayateen wagaira k naam per zeebah kerty houn agar aisy hai to yh shitk ki aik qisam hai aur yh maloom hai k shirk ko Allah Ta'ala hergiz muaf nahi farmata. Wallah A'alim. (shiekh ebn esimeen)

AIK ORAT SY ZINA KIA AUR PHIR IS SY

AIK ORAT SY ZINA KIA AUR PHIR IS SY...............

2034Aik orat sy zina kia aur phir is sy...............
Posted on April 12, 2013 | Filed under Nikkah
Question :
Aik mard ny aik kanwari orat sy zina kia aur ab woh is sy shadi kerna chahta hai to kia yh jaiz hai?
Answer :
Agar amar waqai issi tarhan hai jis tarhan biyan kia gaya hai to sab sy pehly to in mai sy her aik per yh wajib hai k Allah Ta'ala k hazoor touba karen aur is gunnah ko tark ker den, fahashi ka jo irtekab kia is per nadamat ka izhar karen, aindah aisa na kerny ka azam karen aur amaal saleha kasrat sy baja layen, is sy Allah TA'ala inki touba qabool farma ker buraiyon ko naikiyon sy badal deyga. Irshad bari ta'ala hai:

"Aur woh log jo Allah k sath kisi aur ma'abod ko nahi pukarty aur jis jaan ko maar dalna Allah ny haram kia hai, is ko qatal nahi kerty magar jaiz tareeq (shariyat k hukam) sy aur badkari nahi kerty aur jo yh kaam karyga sakht gunaah mai mubtala hoga, qayamat k din isko dogunaah azaab hoga aur zillet-o-khuwari sy is mai hamesha rahyga magar jis ny touba ki aur emaan laya aur achy kaam kiye to aisy logo k gunahu ko Allah Ta'ala niakiyon mai badal deyga aur Allah to bakhshany wala maherban hai aur jo touba kerta hai aur naik amal kerta hai to beshak woh Allah ki tarf rajo kerta hai."
Al furqan 25:68-71.
yh mard agar is orat sy shadi kerna chahta hai to zarori hai k woh nikkah sy pehly aik haiz k sath estabraye rahem ker ley, agar maloom hu k hamal hai to waza hamal sy pehly nikkah jaiz nahi hoga Qk hadis mai hai k NAbi akrem (S.A.W) ny farmaya hai: jo shakhs Allah aur qayamat k din per emaan rakhta hai woh dosry ki kheti ko pani na pilaye.........yani hamla qaidi khawateen sy suhbet na kery................(Fatwa Cammettie)
masnad ahmed:4/108' wa sanan abi daud' hadis:2158

NIKKAH WATA SATA KA HUKAM

NIKKAH WATA SATA KA HUKAM

Question :
Aik admi ny dosry ko apni beti ka rishta is shart per dia k woh bhi apni beti ya bahen ka rishta issy dega aur donu mai sy aik ny maher bhi ada nahi kia, kia yh nikkah jaiz hai ya zarori hai k in donu khawateen k liye maher bhi muqarer kia jaye?
Answer :
Kisi k liye bhi yh jaiz nahi k woh apni beti ya bahen ya deegar waris orton mai sy kisi ka rishta kisi dosry shakhs sy is k bety sy is shart per ker dy k woh apni beti ya bahen ya deegar waris orton mai sy kisi ka rishta issy deyga Qk RAsool Allah (S.A.W) ny is sy mana farmaya hai aur is ka naam shagar (wata sata) rakha hai, baaz log is ka naam nikkah badel bhi rakhty hain. maher is mai khuwa muqarerna kia jaye yh mana hai Qk Rasool Allah (S.A.W) ny is sy mana farmaya hai.
Irshad bari Ta'ala hai:

"Islam mai wata sata ki shadi nahi hai."
sahi muslim' hadis:(60)-1415.
App (S.A.W) ny iski sorat yh biyan farmai hai k koi shakhs apni beti ya bahen ka rishta kisi sy is shart per kary k woh apni beti ya bahen ka rishta is sy kerdyga, App (S.A.W) ny is silsaly mai maher ka ziker nahi farmaya, is sy maloom huwa k mumanat aam hai aur dony soratain hi mamno hain, chanachey is masley mai aulama ka sahi tareen qaul yahi hai. masnad ahmed aur sanan abu daud mai jaid sanad k sath Hazrat muaviya R.A. sy ravayat hai k Ameer madina ny inki tarf likha k do admiyon ny nikkah shagar kia hai aur maher bhi muqarer kia hai. Ameer Muaviya R.A. ny Ameer Madina ko jawab mai likha k in mai tafreeq ker do Qk yh wohi nikkah shagar hai jis sy Rasool Allah (S.A.W) ny mana farmaya hai.
masnad ahmad: 4/94' wa sahi ebn hayan (Mawarid-uz-zaman) ' hadis:1268' wa sanan abi daud' hadis: 2075.
yh nikkah is liye bhi mana hai k is mai oliya ki tarf sy orton per nulam hai, inhain majbor kerna hai woh in sy shadi karen jinhain woh napasand kerti houn, naiz inhain mahez aik sodad salaf ki hesiyat daina hai k in k oliya jis tarhan chahen apni ragbat-o-malehat ki mutabiq in mai tasarruf karen, jis tarhan yh nikkah kerny walo k halaat-o-waqiyat sy sabit hota hai illa Masha Allah. hadis ebn umer R.A. mai shagar ki jo yh tafseer biyan ki gae hai k admi apni beti ka kisi dosrey shakhs sy is shart per rishta ker dey k woh apni beti ka rishta is sy ker dyga aur "donu k liye haq maher bhi na hu" to yh ilfaz nafey (ravi) k hain, yh Aanhazrat (S.A.W)j ilfaz nahi hain aur zahir hai k aanhazrat (S.A.W) k shagar ki tafseer mai jo ilfaz sy muqadam hain.
sahi muslim' hadis: 1415.
Shaikh Ibn Baz